Zindagi kaha jaa rahi hai...

Pata Nahi Zindagi Kaha Jaa Rahi Hai..








Jaane kya kya sapne dikhaaye jaa rahi hai..


Pta nhi zindagi kaha jaa rahi hai..





Bachpan beeta aur khilaune chhut gye..

Ghar se fhir school ko ho gye....

Nye nye dost aur kitaabon me kho gye,

Chhoti chhoti gliyaan aur sararate apno se ho gye,

Aaj fhir uun dino ki yaade sataaye jaa rahi hai,

Pata nhi zindagi kaha jaa rahi hai.



Fhir school chhute aur ghar bhi chhut gya,

Yaari dosti badali aur mausaam bhi badal gya,

Aakho me masti lekr udne ka mausaam aa gya,

Essa lgta tha mano Bin sawan ke sawan aa gya,

Ab kyu wo beeti baate dimaag me chhaye jaa rahi hai,

Pata nhi zindagi kaha jaa rahi hai.




Dunia ke jaise sapna lekr fhir ham bade huye ,

     Yaad to aati thi sbki pr lakshya ke sath khade huye,

Ab tak bahut kuch chhuta aur kuch hi paya hai, 

Abhi hi to sapne sakarne ka mousam aaya hai, 

Bechaniyo se bandhi door bhi ab sitam dha rahi hai, 

Pta nhi Jindagi kaha jaa rahi hai....






Jaane kya kya sapne dikhaye jaa rahi hai,

Pta nhi zindagi kaha jaa rahi hai. 







#my#story#ankit#




   





Poetry - Zindagi kaha jaa Rahi hai..